Atif Aslam
Tere Sang Yaara
[Intro]
Tere sang yaara, khushrang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara

[Bridge]
O karam Khudaya hai, tujhe maine jo paaya hai
Tujhpe marke hi to, mujhe jeena aaya hai

[Chorus]
O tere sang yaara, khushrang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara
O tere sang yaara, khushrang bahara
Main tera ho jaaun, jo tu karde ishara

[Verse]
Kahin kisi bhi gali mein jaaun main
Teri khushboo se takraaun main
Har raat jo aata hai mujhe wo khwaab tu

Tera mera milna dastoor hai
Tere hone se mujhmein noor hai
Main hoon soona sa ek aasmaan, mehtaab tu

[Bridge]
O karam Khudaya hai, tujhe maine jo paaya hai
Tujhpe marke hi to, mujhe jeena aaya hai
[Chorus]
O tere sang yaara, khushrang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara
O tere sang yaara, khushrang bahara
Tere bin ab to naa jeena gawara

[Verse]
Maine chhode hain baaki saare raste
Bas aaya hoon tere paas re
Meri aankhon mein tera naam hai, pehchaan le…

Sab kuch mere liye tere baad hai
Sau baaton ki ek baat hai
Main na jaunga kabhi tujhe chhod ke, ye jaan le

[Bridge]
O karam Khudaya hai, tujhe maine jo paaya hai
Tujhpe marke hi to, mujhe jeena aaya hai

[Chorus]
O tere sang yaara, khushrang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara
O tere sang yaara, khushrang bahara
Main behta musafir, tu thehra kinara