Pritam
Ashq Na Ho (Romanized)

O yun na lamaha-lamaha meri yaad mein
Hoke tanha-tanha mere baad mein
Naina ashq na ho maana kal se honge hum door
Naina ashq na ho, naina ashq na ho

Main na lauta aane vaale saal jo
Meri vardi bole mera haal toh
Naina ashq na ho ye samajhna main hoon majboor
Naina ashq na ho, naina ashq na ho

Beete hue lamho ke taare ginunga main
Aa ke tujhe khwaabon mein tere miloonga main
Jab kabhi halki-halki barkha aaye
Jab kabhi dil bhi yun hi bhar sa jaye
Jab kabhi halki-halki barkha aaye
Uss pal jhoka ek ban ke aaunga main
Uss pal zulfen, palke, daaman chhoo jaunga main

O, teri choodi nagmein gaaye jo mere
Teri palako pe ho saaye jo mere
Naina ashq na ho, aasu karte humein kamzor
Naina ashq na ho, naina ashq na ho

Tere liye saanse aaye
Tere liye jaye, jaye re, jaye re
Tere liye saanse aaye
Tere liye jaye jaye re, jaye re
Rabba... rabba, bairi se bichhode jaane kisne banaye
Haaye re, haaye re, haaye re
Doori tadpaye mere baad chaahe aaye yaad meri
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho
Ashq na ho

O, likhi khaat mein maine tujhe baat jo
Sona rakh ke takye tale raat ko naina ashq na ho
Ye judaai bhi hai dastoor
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho

Main na lauta aane vaale saal jo
Meri vardi bole mera haal to
Naina ashq na ho
Ye samajhana main hoon majaboor
Naina ashq na ho, Naina ashq na ho