Pritam
Bhar Do Jholi Meri (Reprise)
Tere, darbaar mein
Dil thaam ke, woh aata hai
Jisko tu chaahe, Nabi, tu bulaata hai
Tere dar par, sar jhukaaye, mein bhi aaya hu
Jiski bigdi, ae Nabi, chaahe, tu banaata hai..

Bhar do jholi meri, ya Muhammad
Lautkar mein na jaaunga khaali.. (x4)

Band deedon mein bhar daale aansu
Sil diye maine dardon ko dil mein.. (x2)

Jab talak tu banade na bigdi
Dar se tere na jaaye sawaali..

Bhar do jholi meri, ya Muhammad
Lautkar mein na jaaunga khaali.. (x2)

Bhar do jholi, Aaqa ji
Bhar do jholi, hum sab ki
Bhar do jholi, Nabi ji
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madina
Lautkar mein na jaaunga khaali..

Khojte, khojte, tujhko dekha
Kya se kya, ya Nabi, ho gaya hu.. (x2)
Bekhabar, dar badar, phir raha hu
Mein, yaha se, waha ho gaya hu.. (x2)

Dede ya Nabi mere, dil ko dilaasa
Aaya hoon door se mein, hoke ruhaansa.. (x2)

Ho...karde karam Nabi, mujhpe bhi, zarasa
Jab talak tu, bana de, na dil ki
Dar se tere, na jaaye, sawaali..

Bhar do jholi, meri, ya Muhammad
Lautkar mein, na jaaunga, khaali.. (x2)

Bhar do jholi meri, Tajdar-e-Madina
Lautkar mein, na jaaunga, khaali..

Bhar do jholi, meri, ya Muhammad
Lautkar mein, na jaaunga, khaali..

Jaanta hai, na tu kya hai, dil mein mere
Bin sune, gin raha hai, na tu dhadkane.. (x2)

Aah nikli hai, toh chaand tak, jaayegi
Tere taaron se, meri, dua aayegi.. (x2)

Ae Nabi, haan kabhi, toh Subah aayegi..
Jab talak tu, sunega na, dil ki
Dar se tere, na jaaye, sawaali..
Bhar do jholi, meri, ya Muhammad
Lautkar mein, na jaaunga, khaali..

Ae taras kha, taras, mujhpe Aaqa
Ab lagaa le, tu mujhko bhi, dil se.. (x2)

Jab talaq tu, bana de na, bigdi
Dar se tere, na jaaye, sawaali..

Bhar do jholi, meri, ya Muhammad
Lautkar mein, na jaaunga, khaali..

Bhar do jholi, Aaqa ji
Bhar do jholi, hum sab ki
Bhar do jholi, Nabi ji
Bhar do jholi, meri, Sarkaar-e-Madina
Lautkar mein, na jaaunga, khaali..

Dum dum ali ali, dum ali ali (x7)
Ali ali, dum ali ali (x3)
Ali ali, dum ali ali (x3)
Ali ali, dum ali ali (x3)
Dum dum ali ali, dum ali ali (x3), dum ali
Dum dum ali ali, dum ali ali (x3), dum ali..

Garib jaan ke, har ek ne mujhko, taal diya
Tum apne dar se, na taalo mujhe, Garib Nawaz
Haideri-um qalandam mastam (x2)
Banda-e-Murtaza Ali hastam
Peshwa-e-tamaam, rindanam
Ke sag-e-koo-e-Sher-e-Yazdanam!