Jagjit Singh
Seene Mein Sulagte Hain
Intro
[seene me sulagte hain armaan
Seene me sulagte hain armaan
Aankho me udaasi chhaayi hai
Ye aaj teri duniya se hame
Taqdeer kahaan le aayi hai
Seene me sulagte hain armaan]
Verse 1
[kuchh aankh me aansoo baaki hain
Jo mere gham ke saathi hain
Jo mere gham ke saathi hain
Ab dil hai naa dil ke armaan hain
Ab dil hai naa dil ke armaan hain
Bas main hu meri tanhaayi hai]
Refrain
[seene me sulagte hain armaan]
Verse 2
[na tujhse gila koyi hamko
Na koyi shikaayat duniya se
Do chaar kadam jab manzil thi
Do chaar kadam jab manzil thi
Qismat ne thokar khaayi hai]
Refrain
[seene me sulagte hain armaan]
Verse 3
[ek aisi aag lagi man me
Jeene bhi naa de marne bhi naa de
Chup hun to kalеja jalta hai
Chup hun to kaleja jalta hai
Bolun to teri ruswaayi hai]
Outro
[seene mе sulagte hain armaan
Aankho me udaasi chhaayi hai
Ye aaj teri duniya se hame
Taqdeer kahaan le aayi hai
Seene me sulagte hain armaan]