AUR
SHAYAD
Hook , Usama :

Shayad hua sahi
Hum mile hi nahi
Teri talab abhi
Dil me hi hai kahin

Baatein bhi naa hui
Nazrein bhi naa mili
Hairaan tu kar gaya
Dil mera bhar gaya

Aksar hua yehi
Me ghalat tu sahi
Tu mera maan tha
Tu bhi muqar gaya

Tu bhi muqar gaya
Dil se utar gaya

Ahad Verse :

Teri tasveer leke sochun tere baare me
Bachi tanhaiyan or sirf me or taare hain
Bas is hi aasre pe kat ti hai raatien meri
Ke shayad sochta hoga wo mere baare me
Han jis nazar ka me hun muntazir hun aaj bhi
Usi nazar ko mera intezar tha nhi
Taras gaye hain jis pukaar ko yeh kaan mere
Wo sab jaanta hai bas pukaarta nhi


Kabhi tu hai shayad kabhi tu yakeen hai
Kabhi tu hai shayar kabhi kabhi shaiyari hai
Kabhi tu mera hai kabhi ajnabi hai
Kabhi tu yahin hai kabhi tu nhi hai

Mere in labon par bas ek kaash si hai
Jo rone na deti wo teri hasi hai
Jo teri jagah thi woh khaali padi hai
Tu mujhse hai door par yaadien yahin hai

Bas teri hi yaadein is dil ko Jagati rahi
Tere bin adhoora mujhe kyu hai tu laazmi
Me thehra musafir or Chubti hai teri kami
Har shai hi hai haasil bs tu hi la haasil rahi
O ajnabee

Hook , Usama :

Shayad hua sahi
Hum mile hi nahi
Teri talab abhi
Dil me hi hai kahin
Baatein bhi naa hui
Nazrein bhi naa mili
Hairaan tu kar gaya
Dil mera bhar gaya

Aksar hua yehi
Me ghalat tu sahi
Tu mera maan tha
Tu bhi muqar gaya

Tu bhi muqar gaya
Dil se utar gaya

Usama Verse :

Wo kehti thi ankhon me meri hai nami or nami to hoti wafa ki nishaani
Nami ki hai kami ankhon me tumhari jo dekhi hai ab kuchh tasveerey puraani

Wo kehti thi lafzo me mere usse jo aks sa milta hai
Talash thi usse jis sakhs ki Mera hi chehra us sakhs se milta hai

Be rukhi kar gaye ho naye andaaz se tum
Is chup si awaz ka to naaz the tum
Aese paas the tum jese saaz me dhunn
Ab sun ni hai awaaz to ja k raastay sunn
Aate hi nahi ye socho kaash k tum
Aese bikhroge jese patte taash k tum
Mera kal mera maazi mera aj the tum
Are beeti baatein choro mera khwaab the tum

Hai ansoo kya lazim jo yaad hai aati teri...

Wo Muskhil ki ghadi judaai ka waqt nahi..

Me khwab bhi dekhu to khwabon me bhi hai tu hi..

Hai dil keh raha hum milenge dubara kabhi .. shayad kabhii

Hook , Usama :

Shayad hua sahi
Hum mile hi nahi
Teri talab abhi
Dil me hi hai kahin

Baatein bhi naa hui
Nazrein bhi naa mili
Hairaan tu kar gaya
Dil mera bhar gaya

Aksar hua yehi
Me ghalat tu sahi
Tu mera maan tha
Tu bhi muqar gaya

Tu bhi muqar gaya
Dil se utar gaya