[Verse 1]
Kabhi chhupa dikhay
Khayalon mein mere
Kabhi tu door hai
Sawalon se mere
Main tujh ko bhool jaoon kaise
Ke chahoon pooray dil se
Ke mar ke bhi khatam na honge silsilay kabhi
[Chorus]
O Humsafar
Mujhko tera pyar chahiye
O Humsafar
Mujhko tera pyaar chahiye
[Verse 2]
Hum unki baahon mein hee dhair ho gayein hain
Aur woh shehar jaa kay gair ho gayein hain
Ab unko kaun jaa ke abh phir ye bataayein
Woh meri shaayari kaa sher ho gaye hain
Kabhi kabhi woh zakhmon ko chhupaata hai mere
Kabhi kabhi woh dard bhi badhata hai mere
Hum un se door jaaye kaise
Nahi hum un ke jaise
Ab dar hai unke choone se hee mar naa jaaoon mein
[Chorus]
O Humsafar
Mujhko tera pyar chahiye
O Humsafar
Mujhko tera pyaar chahiyе
[Verse 3]
Hain dooriyaan bhaley
Tu chaand hai mera
Ye faaslе barha na imtehaan hai mera
Ek shayari aur doosra tu kaam hai mera
Tujhe hee dekhte rahoon mein shaam se subha
Toh ruk jaao na, sambhal jaao na
Inn lamhon ke yaadon mein bhar jaao na
Saza jo bhi ho
Main seh loonga par
Jo bichhroge mujhse toh mar jaaoonga
Tu rakh yaqeen aur thaam lay
Tu haath ko mere
O khwabon ki pari tu poore karde khawaab ko merey
Main tujh ko kaise ye bataaun
Ke kitna tujhko chaahoon
Khatam bhi kardo Jaan-E-Jaan
Ye faasle kabhi
[Chorus/Outro]
O Bekhabar
Teri aik shaam chahiye
O Humsafar
Sirf tera pyaar chahiye