Welcome to MyBunny.TV - Your Gateway to Unlimited Entertainment!
Enjoy 6,000+ Premium HD Channels, thousands of movies & series, and experience lightning-fast instant activation.
Reliable, stable, and built for the ultimate streaming experience - no hassles, just entertainment!
MyBunny.TV – Cheaper Than Cable • Up to
35% Off Yearly Plans • All
NFL, ESPN, PPV Events Included 🐰
Join the fastest growing IPTV community today and discover why everyone is switching to MyBunny.TV!
Start Watching Now
[Intro]
Aye dill ki gali
Ab ye veeran ho gayi
Par tu hai ab nahi
Jaane na tu ye nahi?
[Verse 1: Ahad Khan]
Tunne dill tora pehle
Meine phool tora baad mein
Saari zindagi guzaar di ehasaas mai
Tu phool tha mera par na jaane kiske baagh mai
Aa milo dobara, kahin marr na jaaen yaad mai
Hum marr mitenge tum pe, yehi khaali hai qasam
Kabhi khushiyan hadd se zyada, kabhi naazil hote gham
Aur ab hum tumse kya hi karein gila?
Tu tou is tarha se rutha ke dobara he na mila
Mujhe na he do dilaase jab toote huwe hain raaste
Toote huwe dill aur jhooṭhe hain tere vaastay
Us raastay se jahaan tum aur mein guzarte thay
Puchhte hain log tum dono tou ek saath thay
Par aaj se
Hum ne dekha aaiinon mein dill hai kaanch se
Toot jaate hain ab teri awaaz se
Toot jaate hain khaalipan mein yaad se
Kya he mil sakeinge phir hamare raastay?
Kya ye mumkin hai ki koi aisa sochta hoga?
Koi be-wajah hi kyun phoolon ko nochta hoga?
Yaa phir raaston mein mere qadam khojta hoga
Jo naa mil sakega uske liye daurte ho kyun?
Jinke bin na reh sakoge unhein chhorte ho kyun?
Kitne jhooṭhe ho tum kehte ho ki chahte ho mujhe
Itna hi chahte ho phir mujhe kyun torrte ho tum?
Be-wajah
[Chorus: Ahad Khan]
Ae dill ki gali
Ab ye veeran ho gayi
Par tu hai ab nahi
Jaane na tu yaara
[Verse 2:Usama Ali]
Mein woh phool jo ke shaakh mai hi reh gaya tha
Kahani aur yaad mai hi reh gaya tha
Mein chahta tha ke koi aake torr le mujhe bhi
Mein chahta tha ke koi khud se jorr le mujhe bhi
Lagi ek nazar mujhe, aur mein phir murjha hi gaya
Mein toota phool ki tarha, aur phir darga hi gaya
Kisi ne khaar mai nocha, kisi ne pyaar banaya
Kisi ne qabr pe daala, kisi ne haar banaya
Kisi ne ronn diya is tarha se paun mai
Ke itna bura tou kisi ka na chahun mein
Mein be jaan para bas wahaan ye sochta rehta
Ke kis tarha se apni shakh se jurr jaun mein
Uske baad meine khwahishon ko maar diya
Yaani ye tou bas ehsaas tha ek khwaab hi mai
Acha huwa mein baagh mein hi reh gaya tha
Acha huwa mein reh gaya tha shaakh hi mai
Hai bharam iss dill ka tu usko chownk aayega
Ye sabse sehta hai tu iski jaanib lauṭ aaega
Woh waadah karke gaya hai, woh kaise bhool jaega?
Woh mere liye waapsi mai wohi phool layega
Ab mein maafi kis se maangunga is bhool ke liye?
Meine phool tora hai apne ek phool ke liye
Ab mein maafi kis se maangunga is bhool ke liye?
Meine phool tora hai apne ek—
Phool ke liye
[Chorus: Usama Ali]
Aye dill ki gali
Ab ye veeran ho gayi
Par tu hai ab nahi
Jaane na tu ya nahi?