Jokhay & Talhah Yunus
Chal Paray
[Verse 1]
Kuchhal diya mere armaanon ko ya kagaz ki kami
Ghar diya tere mehmaanon ko, koi mukhlis hi nahi
Sihayi se dukh yeh mitaane do ,rahoon zinda main kahin
Ijaazat to dil ko pilaane do, agar khush kismat nahi
Jab aati maut to wo deti nahin dastak
Ahle dil hai aaji ji arz kar
Aisa lage jaise kho chuka lashkar
Kya kamaal aise jeene mein phir bachkar
Ye baatein naajil hoti arsh se
Baadalon mein rahte baarishon ki tarah barse
Kya wo chuke amar se
Aaj bhi teri saadgi pe marte

[Chorus]
Phir chal pade
Kya yeh raste naye
Hum toh haste rah gaye
Kya sab kuch kah gaye
Phir chal pade
Un yaadon ke liye
Tere waadon se gile
Sirf khwaabon mein milе

[Verse 2]
Zindagi chalti rahi, wo chahte bhulana to ladte rahe
Hasratеin badhti gayi, fursat nahin khud to darate rahe
Kya karte aage is bulandi pe, ab ye nazaare bhi halke lage
Hum to musafir khizaa ke ye patte
To khud bakhooda jhhadne lage
Khaamoshi se yaari meri
Jitne bhi toote bechaari wahi
Hujoom gham mein hi the gum kahin
Aur wo kehti main tumhaari nahin
Waqt ke gulaam hue
Kehna chaahte bahut kuch jaan ke anjaan hue
Jaam khali kiye maine kitne tere naam pe
Tu hi mera nasha aur surur ye bhi jaante
Tu mera gurur
Sab tujh se shuru
Tu hi jaise manzil
Tu hi meri bhool
Ho tujhse tulu
Ho tujh pe gurub
To tu kyun itni durr
[Chorus]
Phir chal pade
Kya yeh raste naye
Hum toh haste rah gaye
Kya sab kuch kah gaye
Phir chal pade
Un yaadon ke liye
Tere waadon se gile
Sirf khwaabon mein mile
Phir chal pade