Jokhay & Talhah Yunus
Shikwa
[Chorus]
Kya hi shikwa karein phir
Teri galti nahi hai
Har ghazal se mutaasir
Ye duniya jalti rahi hai
Kashtiyon ke musaafir
Sabse banti nahi hai
Apni khushiyon ke kaatil
Wo samajhti nahi hai

[Verse 1]
Kya meri bas ho gayi?
Ya tu latt hai koi?
Ummeedein sab so gayi
Zameen magar chhat to nahi
Teri bhi kya bas ho gayi?
Ya kuch bhi tere bas me nahi?
Bole mai sunta nahi kabhi
Tu mera rabb to nahi?
Na de wo saath to ye zaat lapata hai
Wo aaye bin bulaye aise khwaab bhi na aayein
Shaam hi subha hai meri raat kyun na aaye
Jahan khushbuein gulaab ki wahan yaad tu hi aaye
Sahara banein to kinaara-kashi
Tere bin mera guzaara nahi
Raunaq nahi sooni dil ki gali
Matlab ke tune bhi aana nahi
[Chorus]
Kya hi shikwa karein phir
Meri galti nahi hai
Har ghazal se mutaasir
Ye duniya jalti rahi hai
Kashtiyon ke musaafir
Sabse banti nahi hai
Apni khushiyon ke kaatil
Wo samajhti nahi hai

[Bridge]
Muskura de agar wo
Ye duniya ruk si gayi hai
Kaatein hi itne raahon mе
Ye baatein chubhti nahi hai
Gham chhupaye inn aakhon mе
Wo to hasti rahi hai
Milte tujhse kya khwabon me
Raatein kat'ti nahi hain

[Verse 2]
Wo basti jis dil me wo basti ujad gayi
Sarr hora bhari kya sarr pe tu chadh gayi?
Pee beshaq jitni wo saari utar gayi
Jab bhi tu mere liye duniya se ladd gayi
Poochte na haal saaray poochte sawaal
Titliyon ke bagh me to phool the hazaar
Roop the hazaar kya hi dhoondte bazaar
Degi wo misaal mere tootnay ke baad
Mai tere intezaar me hun
Dilon me dimaag me hun
Qinno ki qataar me hun
Mai teri har pukaar me hun
Chaand ban ke chhup gayi hai peeche badalon ke
Kya ho chuke ghulaam apni aadaton ke
Khud se saadgi ka waada sarr pe haath bhi khuda ka
Aur wo kar chuke shumaar mera paagalon me
[Chorus]
Kya hi shikwa karein phir
Meri galti nahi hai
Har ghazal se mutaasir
Ye duniya jalti rahi hai
Kashtiyon ke musaafir
Sabse banti nahi hai
Apni khushiyon ke kaatil
Wo samajhti nahi hai