CAPO
Intezar
[Verse 1]
Mai likhne bheta hun yeh baat meri sun tu
Mai tujhay yaad karun, phookun kitna sun hun
Kyun nai seekhtay hum aaj apnay baron say
Khuwahishaat rakhi ziadah apni hadon say

Zindagi safar, hum to bas musafir hai
Paisay may chamak, sab phir ab mutasir hai
Sar pirha ab, to hum likhtay ulti batein hain
I'm pretty chill, sar phir sab hilate hain

Shakal meri utri, Maa deti phir dilaase hai
Noor mera chingaya, andhero kay kinare hai
Jabse chora saath, tootay wo irade hai
Kalay badal, kum idhar sitare hain
Kaash tum saath ho, mangi humne mafiaan
Rotay roz, hastay kum, hai nakamiaan
Ek aur kath tujhay, bane hum hain dakiya
Parhna zaroor, aaj phir tujhay yaad kia

[Chorus]
Aaj tu khush hai, mere beghair
Jinke saath khush tu, woh tere gair
Tere apna betha hai intezaar me
Murke dekh aur tu thehr
Aaj tu kush hai, mere beghair
Jinke saath kush tu, woh tere gair
Tere apna bheta hai intezaar mе
Mudke dekh aur tu thehr

[Verse 2]
Umeed kayim mеri, Ab koi tore na
Sach ka saath, jhoot ko tole na
Ajeeb zindagi, hum yeh bole na
Yaar bachay 2, saath woh chore na

Dagadar dunya, daga mila roya may
Marun haath pair, dhoondu beej joh boya hai
Galay lagake kabhi hasta tha kushi say
Hasi aur kushi ko tarasata, ab wo roya hai

Dil mera phatar, tu pathar pay lakeer hai
Zamana marey kankar, sehta yeh fakeer hai
Kostay humay log, dheka sirif bhaar say
Andar ka haal sirif jaanta zameer hai

Teri galiyon say guzar hoga mera
Andhera jayega aur niklega sawera
Tu pareshan, dhoonday kidhar hai woh ronak
Kesi hogi jab woh ashiq nai ab tera
[Chorus]
Aaj tu khush hai, mere beghair
Jinke saath khush tu, woh tere gair
Tere apna betha hai intezaar me
Murke dekh aur tu thehr

Aaj tu khush hai, mere beghair
Jinke saath khush tu, woh tere gair
Tere apna betha hai intezaar me
Murke dekh aur tu thehr