Tulsi Kumar
Tanhaai
[Chorus]
Toota hai bohot ye dil mera
Aasoon hai badi tanhaai hai
Jabse teri baahon mein humein
Aane ki hui manaai hai

[Verse 1]
Kuch yaadein jo teri baaki hai, jo dil ko bohot satati hai
Kate se nahi katata lamha, kyun dedi tanhai?
Kuch yaadein jo teri baaki hai, jo dil ko bohot satati hai
Kate se nahi katata lamha, kyun dedi tanhai?

[Instrumental-break]

[Verse 2]
Wo hath jo kal tak hath mein tha
Ab chhune se katrata hai
Har lamha kal tak sath mein tha
Ab milne tak nahi aata hai

Ye soch ke neend na aati hai, aur dil mein ek udasi hai
Kyun tune kiya humko tanha? Kyun dedi ye judaai?
Hothon pe hasi na aati hai, aankhein bhi nam ho jaati hai
Acha hi nahi lagta jeena, kyun dedi ye judaai?
Iss ishq mein tere hathon se, yahi cheez humein mil payi hai
Kyun dedi tune judaai hai? Kyun dedi tanhaai?
[Instrumental-break]

[Verse 3]
Tanhaai hai humsafar, tanhaai hai har dagar
Tanhaai hai har pehar, tanhaai saamon shehar
Tanhaai hai har taraf, tanhaai hai had-e-nazar
Tanhaai hai arsh tak, tanhaai hai ab farsh tak

Mere hisse mein, hisse mein gham hi aaye hai
Tere hisse mein, hisse mein khushiyan
Meri ankhon mein, ankhon mein ashq aaye hai
Tere hothon pe hothon pe hassna

[Chorus]
Toota hai bohot ye dil mera
Aasoon hai badi tanhaai hai
Jabse teri baahon mein humein
Aane ki hui manaai hai

[Outro]
Waqt sheekha deta hai ishq mein tanhaai ko sehna
Par zindagi mein kisi ko bhi rab tanhaaiyan na dena