Ajay-Atul
Shah Ka Rutba
Shah ka rutba, shehenshao, si teri, baat hai,
Ooo.. Shahon ka jo, Shah uska, tere sar pe, haath hai,
Tere kadmon, ke tale, mitti bhi sona ban gayi,
Jarr hua, dushman jahan, shamsheer teri, tan gayi,

Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi,
Hai farishtey, bhi parashtish, mein teri, qurbaan wallah,
Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi,
Ban gaya kanoon, jo bhi, tu likhe, farmaan, wallah ho...

Nazaara, jannaton ka, aaj tere rubaroo hai,
Tera lakht-e-jigar, saaya hai, tera hubahoo hai,
Ha sadke, aaj uskey, sar ke sehre, ke sabhi hai,
Ke teri sultanat ke, takht ka, woh jaanasheen hai..

Guroor yeh, jalwa rahe,
Purtaab haan, guftaar hai,
Teri jeet ki raftaar se,
Har haar haan istaar hai,

Haan teri qismat, khud tere, haathon, khilona ban gayi,
Jarr hua, dushman jahan, shamsheer teri, tan gayi,

Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi,
Hai farishtey, bhi parashtish, mein teri, qurbaan wallah,
Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi,
Ban gaya kanoon, jo bhi, tu likhe, wallah, ho...
Garr dewaane aam na ho,
Koi Akbar na hua,
Jo tumhaare sar jhuke,
Toh shehenshaah mein hua,
Allah raha mera har pal hafeez,
Toh safar yeh tay hua..

Garr dewaane aam na ho,
Koi Akbar na hua..

Ya Allah, Ya Maula (x3)

Chaar mazboot, naujawaan kandhe,
Tujhko, tere khuda ne, bakshe hai,
Inke haathon ki, jo lakeerein hai,
Tere dono jahaan, ke nakshey hai..

Zindagi toh har kadam nayi visaat hai,
Yeh hi to mere zehmaat hai,
Ye dono meri kaaynaat hai,
Yaar..

Chaar mazboot, naujawaan kandhe,
Tujhko, tere khuda ne, bakshe hai,
Inke haathon ki, jo lakeerein hai,
Tere dono jahaan, ke nakshey hai..
Ya Allah, Ya Maula (x3)