[Verse 1]
Duniya gol hai aaj maine maan liya
Wahi par pohncha hoon
Jahan se start kiya
Tha jhujaru ab main haar gaya
Itne dino ka sangharsh barbaad gaya
Aan!
Main aapa kho raha hoon
Jagta hoon kam
Zyada so raha hoon
Kayarta ki charm seema paar
Logon ko chup karata tha
Aaj khud main ro raha hoon
Gumnaami ka andhera behtar hai
Likhna nahi faida kuch bhi kehkar hai
Be-fizool ki utha li jimmewari maine
Tez kulhaadi karke
Uspe gardan maari maine
Har nazar gadi mujh par
Nazar lagi mujhe
Main neeche hoon ya sabse upar
Khabar nahi mujhe
The robhwaaw ghabrahat ke mere muh pe
Kheench ke rakhta hoon aajkal main kaan khud ke
Upar se vishvaas uth ta ja raha hai
Reeni hoon tumhara bhai ga raha hai
Rahu baith sar-par ketu aane wala hai
Kismat khuli nahi kabhi
Laga uspar taala hai
22 saalon se fasa hoon is zindagi mein
Main hoon akela berozgar hoon apni gali mein
Naseehat dete log saath nahi deta koi
Vaada karte dete tod
Jaisa hai neta koi
Dhoondne mein laga
Khazana kuber ka
Waqt ki barbaadi karta hosh nahi dеr ka
Museebat mein nahi
Main khud hi museebat hoon
Khushiyan khareedni hai
Bolo kya keemat doon
Kya jiwan mera hoga theek hai mujhe shak
Khud ki khushi hai khudkushi mеra haq
Buzdil nahi baatein jo kahi ek soch hai
Sab ek railgaadi mein sawaar bas alag coach hai
Aaj dukh mein hoon
Agla padaaw kaamyabi
Main asli pita tumhara tumhe khabar zara bhi?
Jaante nahi beshak se sunte mere gaane
Na rakho dil-chaspi agar koi meri maane
Thaane thaane mein likha hai mera naam
Bura insaan jo karta bas ache kaam
Shaam hote hi aa jaati mujhe teri yaad
Kasam se mohabbat nahi huyi tere baad
Jo tere saath tha mera naam mitana hai
Khud ko bhoola hoon yaad dilana hai
Asal mein kho jana hi manzil paana hai
Main poora paagal
Ye duniya pagalkhana hai
[Chorus]
Aakhein masal li maine ki poori taiyari hai
Door karni hai
Dikkatein jitni bhi saari hai
Sab kuch karna hai theek koshish meri jaari hai
Sab se peeche khada tha ab meri baari hai
Meri baari hai
Meri meri baari hai
Sab se peeche khada tha ab meri baari hai
Meri baari hai
Meri meri baari hai
Sab se peeche khada tha ab meri baari hai
[Verse 2]
Badbola hoon mujhe lena dena kya hoti taal
Kalam se wafadaari nahi chodi filhaal
Dhanyavaad, tahe dil se karta hoon shrota gano ka
Jinho ne saraakhon pe rakhe khurafaati mere khayal
Ab lekin mujhko pachtana nahi hai phir se
Akela hi acha hoon door bhaagu mehfil se
Badi mushkil se ab jaake suni hai dil ki
Acha laga mujhko aaj khud-e se mil ke
Dheeraj se yam sanjeedgi
Sab ki naak mein dum kiya
Aankhon mein jhonki dhool
Aur kaam kam kiya
Aab laangna hai kshamtaaon ko
Aadaton ka karna hai ulanghan
Daridarta ko chhod mehnat se sapna karna hai sampann
Dum-kham kum nahi bas jeet ki tarkaar hai
Dil aur dimag mere dono bimar hai
Mujhse milte julto ki tadaad bharmaar hai
Aap ke samaksh ye kuch mere vichar hai