Hemant Kumar
Beqarar Karke Humein
[Into]
Beqarar karke hamein yun na jaaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
Beqarar karke hamein yun na jaaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
[Verse 1]
Dekhiye woh kaali-kaali badaliyan
Zulf ki ghata chura na le kahin
Chori-chori aake shokh bijliyan
Aapki ada chura na le kahin
Yoon kadam akele na aage badhaaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
[Bridge]
Beqarar karke hamein yun na jaaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
[Verse 2]
Dekhiye gulaab ki woh daaliyan
Badh ke choom le na aap ke kadam
Dekhiye gulaab ki woh daaliyan
Badh ke choom le na aap ke kadam
Khoye-khoye bhanwre bhi hain baag mein
Koi aapko bana na le sanam
Behki-behki nazron se khud ko bachaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
[Bridge]
Beqarar karke hamein yun na jaaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
[Verse 3]
Zindagi ke raaste ajeeb hain
In mein is tarah chala na keejiye
Khair hai isi mein aapki huzoor
Apna koi saathi dhoondh leejiye
Sun ke dil ki baat yun na muskuraiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
[Outro]
Beqarar karke hamein yun na jaaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye
Beqarar karke hamein yun na jaaiye
Aapko hamaari kasam laut aaiye