Neha Kakkar
Taaron Ke Shehar
Na chain se jeene degi, Na chain se marne degi

Haan chalo le chalein tumhein taaron ke shehar mein
Dharti pe ye duniya, humein pyar na karne degi
Hmm, Haan chalo le chalein tumhein taaron ke shehar mein
Dharti pe ye duniya, humein pyar na karne degi

Jo tum na meri baahon mein, Main to so nahi sakta
Khuda ne tujhko diya mujhe, Tujhe main kho nahi sakta
Main marr jaunga agar kabhi kehna pad gaya yeh sanam
Main tera hi hoon, magar tera ho nahi sakta
Humein maar hi na daale, Buri nazar yeh logon ki
Ye hath chhudayenge, Na hath pakadne degi

Haan chalo le chalein tumhein taaron ke shehar mein
Dharti pe ye duniya, humein pyar na karne degi
Ho, Haan chalo le chalein tumhein taaron ke shehar mein
Dharti pe ye duniya, humein pyar na karne degi

Log humse jalte hain, Jalte hain iss baat pe
Kyun itne zyaada khoobsurat lagte hain hum sath mein

Jo bhi ishq mein hote hain, Hote hain deewane se
Khushi nahi dekhi jaati mohabbat ki zamaane se
Mujhe pata hai oh janam chahe kuchh bhi ho jaaye
Tu khud mar jaayegi, Jaani na marne degi