Raftaar
Zinda Hai
[Verse 1: Sukhwinder Singh]
Sehra saahil jungle basti bagh woh
Shola shola jalta charaag woh
Ho.. parvat paani aandhi ambar aag woh
Shola shola jalta charaag woh
Har kaali raat se ladta hai woh

[Pre-Chorus: Sukhwinder Singh]
Jalta hai aur nikharta hai
Aage hi aage badhta hai
Jab tak zinda hai

[Chorus: Sukhwinder Singh]
Kahin par toofaan abhi zinda hai
Jazbon mein jaan abhi zinda hai
Saagar khamoshi mein bhi
Saagar hi rehta hai
Leharon se kehta hai
Woh zinda hai
Bheetar toofaan abhi zinda hai
Jazbon mein jaan abhi zinda hai

[Verse 2: Raftaar]
Raaton ke saaye mein hai woh chhupa
Dushman na dekhega kal ki subah
Kahaan se aaya wo kahaan hai jaata
Na mujhko pata hai na tujhko pataa
Haan wo nihattha hi shatru karta nirast
Bhes badalta wo jaise ho wastra
Jadse ukhaadega bheetar se maarega
Uska iraada hai Brahma ka antar wo gyaani hai
Hai swaabhimani wohi
Tu jaantaa uski kahaani nahi
Zinda hai zinda rahega wo
Jab tak bhi marne ki usne hi thaani nahi
[Verse 3: Sukhwinder Singh]
Ghairat gussa chahat aur malaal woh
Ziddi ziddi ziddi khayaal woh
Hai jung bhi hai woh hamla bhi aur jaal wo
Ziddi ziddi ziddi khayaal woh

[Pre-Chorus: Sukhwinder Singh]
Sholon ki aankh mein rehta hai
Har sacchi baat woh kehta hai
Laawa sa ragon mein behta hai
Jab tak zinda hai!

[Chorus: Sukhwinder Singh]
Bheetar toofaan abhi zinda hai
Jazbon mein jaan abhi zinda hai
Saagar khamoshi mein bhi
Saagar hi rehta hai
Leharon se kehta hai
Woh zinda hai
(x2)