Rabindranath Tagore
Hum Aik Hain
[Intro: Dialogue Sequence]
[Dada]
Ap mere sab se achay dost ho
[Abdullah]
Dost? Aap tou dada hain, mere dost tou Noor, Ali, aur Muhammad hain...Aap jab chotay thay tou apkay dost kon thay?
[Dada]
Mere dost thay...Munawwar, Faiz, aur...aik aisa dost tha jissay mein kabhi bhula nahi sakta: Lakshman
[Abdullah]
Lakshman? Apka dost Hindustan se hai?
[Dada]
Hahaha hanjee!
Arey dost kia, mein bhi bohoot saal pehle wahan hi rehta tha
[Abdullah]
Umm lekin Ahmed bhai tou kehte hain sarey Hindustani dushman hain humaray
[Dada]
Dushman? Arey ye kia bol rahe ho Ahmed -
[Ahmed]
Bilkul theek kehta hoon mein Dada jee
Dushman hi tou hain vo humare
Dekh nahi rahe aap aaj kal...upar border pe kia kar rahe hain vo? Dushman nahi tou aur kia hain vo?
Abdullah...aap..aap jao, ami bula rahi hain aapko
[Dada]
Arey nai nai, sunne dou issay bhi
Main batata hoon:
Dost thay vo mere
Hamdard thay vo mere
Hamsaye thay vo mere
Aur...ab bhi hamsaye hain vo humare -
[Ahmed]
Yahi hamsaye satar saal se humare nou jawanon ka khoon baha rahe hain, uske baare mein kia kahein gey aap?
[Dada]
Har Hindustani khoon nahi chahta
Sarhad ke is paar, aur us paar, aaj bhi aman aur muhabbat chahne waley zinda hain -
[Ahmed]
Dada jee iska matlab ye tou nahi ke hum khoon bahane walon ko hi bhool jayein
[Dada]
Iska matlab ye bhi nahi ke aman ki tamanna hi na rakhi jaye
Akhir, kab tak khoon bahatay rahein gey?
Kab tak ek doosre ke liye darwazay band rakheinge?
Beta ye gurbat, ye takleef, ye khoon
Sab, sab nafrat se janam lete hain
Mera dil kehta hai ke ek din ayega
Phir se Amritsar ki galiyan dekhunga
Phir apne purane ghar ke angan mein beth kar hawa ka lutf uthaoonga
Phir Lakshman ke sath yaadein jiyoonga
Mera dil kehta hai aik din aayega
Jab sarhadon pe khardaar taron ki bajaye, khule darwazay mileinge
Akhir, aik hi chaman ke tou phool hain ham sarey
[Verse: Kirtika Narain]
Aik chaman ke phool hain saare aik gagan ke tare
Aik samandar mein girte hain sab dariyaon ke dharey
Sab dariyaon ke dharey
[Pre-Chorus]
Saanjhi apni khushian hooo
Saanjhi apni khushian aur ghum aik hain hum aik hain
[Chorus]
Inn parchamon ke saaye taley hum aik hain hum aik hain
Inn parchamon ke saaye taley hum aik hain hum aik hain
[Hassan Sheikh]
Qaum mulk saltanat
Painda tabindabad
Shad bad Manzil-e-murad
[Kirtika Narain]
Saare jahaan se acha
Hindustan humara humara
Saare jahaan se acha -
[Hassan Sheikh]
Pakistan humara!
[Kirtika Narain]
Punjaba Sindhu Gujrata Maratha
Dravida Utkala Banga
Jana gana mangala dhayaka jaya he
Bharata bhagya vidhata
Jaya Hai! Jaya Hai! Jaya Hai! Jaya Jaya Jaya Jaya Hai
[Hassan Sheikh]
Saaya-e-Khuda-e-zuljalal