Lata Mangeshkar
Bane Ho Ek Kaak Se
Bane ho ek kaak se, to duur kya qareeb kya -(3)
Lahu ka rang ek hai, amir kya garib kya
Bane ho ek ...
Vo hi jaan vo hi tan, kahaan talaq chhupaaoge -(2)
Pehan ke reshami libaaz, tum badal na jaaoge
Ke ek jaat hain sabhi -(2)
To baat hai ajeeb si
Lahu ka rang ek hai ...
Gareeb hai vo iss liye, tum amir ho gaye -(2)
Ke ek baadshaah hua, to sau fakeer ho gaye
Khata yaha hai samaaj ki -(2)
Bhala bura naseeb kya
Lahu ka rang ek hai ...
Jo ek ho to kyon na phir, dilon ka dard baant lo -(2)
Lahu ki pyaas baant lo, ruko ki dard baant lo
Laga lo saba ko tum gale (2)
Habeeb kya, raqeeb kya
Lahu ka rang ek hai ...