Lata Mangeshkar
Are Re Are
Are re are yeh kya hua maine na yeh jana
Are re are ban jaaye na kahin koi afsana
Arre re arre kuchh ho gaya koi na pehchana
Are re are banata hai to ban jaaye afsana
Haath mera thaam lo saath jab tak ho
Baat kuchh hoti rahe baat jab tak ho
Saamne baithe raho tum raat jab tak ho
Arre re arre yeh kya hua maine na yeh jana
Naam kya dein kya kahein dil ke mausam ko
Aag jaise lag gayi aaj shabnam ko
Aisa lagta hai kisi ne chhoo liya humko
Are re are yeh kya hua maine na yeh jana
Are re are ban jaaye na kahin koi afsana
Arre re arre kuchh ho gaya koi na pehchana
Are re are banata hai to ban jaaye afsana
Tum chale jao zara hum sambhal jaayein
Dhadkanein dil ki kahin na machal jaayein
Waqt se aage kahin na hum nikal jaayein
Are re are yeh kya hua koi na pehchana
Hamamein tumamein kuchh to hai
Kuchh nahin hai kya
Aur kuchh ho jaaye to
Kuchh yakeen hai kya
Dekh lo yeh dil jahan tha
Yeh vahin hai kya
Arre re arre yeh kya hua maine na yeh jana
Arre re arre ban jaaye na kahin koi afsana
Are re are kuchh ho gaya koi na pehchana
Are re are banata hai to ban jaaye afsana
Yaad kuchh aata nahin yeh hua kabse
Ho gaya mushkil chhupana raaz yeh sabse
Tum kaho to maang loon main aaj kuchh rab se
Are re are yeh kya hua koi na pehchana
Arre re arre banata hai to ban jaaye afsana
Saamne hain raaste hum guzar jaayein
Ya kisi ke waaste hum thehar jaayein
Ab yahaan tak aa gaye hain ab kidhar jaayein