Lata Mangeshkar
Sheesha Ho Ya Dil Ho
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir (toot jaata hai)
Lab tak aate aate haathon se
Sagar (choot jaata hai)
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir toot jaata hai
Kaafi bas armaan nahin
Kuch milna aasaan nahin
Duniya ki majboori hai
Phir taqdeer zaroori hai
Yeh jo dushman hai aise
Donon raazi ho kaise
Ek ko manao to duja (rooth jaata hai)
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir toot jaata hai
(Baithe the kinare pe
Maujon ke ishare pe)
Ham khelein toofanon se
Is dil ke armaanon se
Hamko yeh maloom na tha
Koi saath nahin deta
Maajhi chod jaata hai
Saahil (choot jaata hai)
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir (toot jaata hai)
Sheesha ho ya dil ho
Duniya ek tamasha hai
Aasha aur nirasha hai
Thode phool hai kaante hai
Jo taqdeer ne baante hain
Apna apna hissa hai
Apna apna kissa hai
Koi lut jaata hai
Koi (loot jaata hai)
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir (toot jaata hai)
Lab tak aate aate haathon se
Sagar (choot jaata hai)
Sheesha ho ya dil ho