Lata Mangeshkar
Yaadein (A Tribute to Lata Mangeshkar)
[Intro]
Yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain

[Verse 1]
Kyun likh nahi pa raha, lage kalam hai khaali
Jo aap chali gayin, lage vatan hai khaali
Ab sunne ko aapke nazam hain khaali
Varna dilon pe to sabke, bas zakham hain khaali

Lamha vo tha, jab desh mera tut raha tha
Aur jawano'n ka bhi saath, humse chhooth raha tha
Tab ek gaana sabka dil lut raha tha
Jab khiladi bhi humara humse rooth raha tha

Ek ladki ne sar zimmedariyan uthayin
Teen behne thi jiski, aur ek lauta bhai
Tabhi jaake vo Hema se thi Lata kehlayi
Didi ek pidhi na, jo kare aapki burayi

More than personal, it's a nation's loss
Mera pura career, unka ek gaana boht
Humse chheen nahi payegi ye, sirf ek maut
Dear Anand Ghan, we salute you boss
[Pre-Chorus]
Safar pe chalе jaatein hain khud
Bas baatein hi reh jaati hain
Aakhon mеin aansu leke
Tanha raatein hi reh jaati hain

Safar pe chale jaatein hain khud
Bas baatein hi reh jaati hain
Aakhon mein aansu leke
Tanha raatein hi reh jaati hain

[Chorus]
Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain
Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain

Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain
Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain

[Verse 2]
Jagah hai ye keemti, na lega koi aur
Nahi aane vaala laut ke, jo guzra ye daur
Jo bhi keh raha, aap zara kariye uspe gaur
50K songs ek gayak ke bataur
58 se 69 tak khitab'on par raaj
Fir sab kuch lena, nahi hua bardasht
Naye zamane ke hunar ko, haan dijiye ye award
Maharani thin vo dil ki, na sar pe tha taaj

Na sirf dukhi ek sadan, ye vatan ki hai baat
Naagrikon ka naman, ye ratan ki hai baat
Jiska ho gaya patan, us chaman ki hai baat
Dil shok me magan, us zakham ki hai baat

[Pre-Chorus]
Safar pe chale jaatein hain khud
Bas baatein hi reh jaati hain
Aakhon mein aansu leke
Tanha raatein hi reh jaati hain

Safar pe chale jaatein hain khud
Bas baatein hi reh jaati hain
Aakhon mein aansu leke
Tanha raatein hi reh jaati hain

[Chorus]
Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain
Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain
Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain
Bas yaadein hi reh jaati hain
Yaadein hi reh jaati hain

[Outro]
I must let them know
That your persistence will remain forever
Let you physically go
But your existence will remain forever