Muhfaad
Part 2
Khuli bhala ankh kyu mai badhiya tha neend me maut padi bheench ke baaju

Sukoon ki do ghadiyan naseeb.. badi hai ajeeb life mujhe chahye nahi Part 2

Kismat ka kya hi kasoor aur aane pe maut ka kya hi ho tajjub
Mere jane pe rona zarur par hone wo chahye khushi ke aansu

Nahi tha hona mashahoor ab ho hi gaya to gumanami ka bhay kyu?
Gawara nahi khona wajood ye ulti disha me hawa duniya ki bahe kyu?

Ye ghule na meri fiza me ghute meri saans
Dhuan na mile to rehti khopdi kharab

Kharish thi seene me gale me kharash kal the janab ye fefde naraz
Khalish na jeen( jeene ) de karde hisab is maut haseen ke dekhe the khaab

Sab mera chheen ek akhiri neend de khuda bhi chahe to meri khule na ye ankh

Khuli bhala ankh kyu mai badhiya tha neend me maut padi bheench ke baaju

Sukoon ki do ghadiyan naseeb.. badi hai ajeeb life mujhe chahye nahi Part 2

Ye zindagi lagti hai jhoothi ummeed hu insan mai ban gaya kaisa ajeeb

Feel hi nahi hota ab kuch bhi to kya karu jee ke ya likh ke bhi apna naseeb
Na bharosa na shaq hai kisi pe bhi chehro pe jalan aur jhoothi hasi dekhi

Likhe dard pe apne lateefe kyu ki aata waqt hai jab sath chhodte maseehe bhi

Rishto ki keemat nahi jani to tola bhi nahi maine pyar ke tarazu me
Bante bigadte ye kyu ki na jazbaat na halaat ye rahe kabhi kisi ke kabu me

Izzat se upar nahi kuch jab tak zinda ho karam rakam to hai dono hi hatho me
Padhein mujhe sab par koi ek bhi samajh le to laut ke wapas khud aa jaunga saabut mai

Kya pata rok de kisi ko meri ek awaz hi jab ho pankha upar aur latki fansi
Fanda neeche.. par na banda razi kare koshishein marne ki har tarah ki

Mila gairo ka thikana apno ke pas hi karo jispe bharosa kare dhokhebaazi
Neeche kheechne ke tujhe dhoondhe mauke saathi tere jane pe jhoothe mu ye ro ke raazi

Tujhe karna jo khatam to past ko kar Koi sune ya na sune tu awaaz to kar
Sannatein me goonje jab cheekhein kisi ki Toh ye duniya ilzam dale hadaso par

Jise marna mazak lage try kar ke dekhe Zindagi ko final goodbye karke lete
Khule ankh to shukriya tu kehna maa ko tujhe rakhne ko zinda ghumi pet me wo leke..

Are kal ka marta chahe aj tu mar par pehle sapne me dekhe the jo kaam wo kar
Sansein hai waqt ye aur mrityu hi satya hai maut padi peechhe sabke hath dho kar

Khuli teri ankh to tu jana ke jaan ye kitni hai keemti
Karne the pure adhure jo sapne, zarurat hi nahi thi unhe to kabhi neend ki
Khuli ab hai ankh to tu jana ke jannat naseeb tujhe jeeteji

Mare tere dushman tu jee har saans me zindagi apne hisaab aur tareeke ki!