Bechain Atma "Single"

Intro : My life is meaningless pass me the hotdog pal



Main hun ek bechain atma
Janam ye mera hai saatvan

Koi bhi mera apna nahi hai

: koi bhi mere hai saath-na



Main hun ek bechain atma

Janam ye mera hai saatvan

Koi bhi mera apna nahi hai

: koi bhi mere hai saath-na



[[verse 1]]

Main bola bohot usko ke meri atma bechain hai

Koi baat nahi : boli wo tagdi meri fan hai

Main shapit hun shayad : ye shaitaan ki hee den hai

English ka ek word : wo jo ekdum "insane" hai



Kabhi-kabhi main khud se yun-hee batein karta hun

Ghumon mein jaagta hua kata raatein karta hun

Khud ke dono gaalo par sata-sat chatein dharta hun

Ab-aisa-hoga-na-aage : main vaade karta hun



Are ye log to chhodo mujhse mere gharwale pareshan hain

Halla taad ke rakhta hai : ek number ka shaitaan hai

Aunty bhi chhup-kar:chhup-kar meri chugli karti hai

Par sab sun-leta hun har-pal khade mere kaan hain



Aur unki aisi hee kuch baatein mere sir mein ghumti tehti hain

Ajeeb kuch awaazien kaano mein gunjati rehti hain

Baithu kahan jakar mujhe shanti mile :

Bechain meri ye atma aisi jagah dhundati rehti hai



Main hun ek bechain atma

Janam ye mera hai saatvan

Mujhe dekh-kar hee dar jaate wo

: koi bhi mere hai saath-na



Main hun ek bechain atma

Janam ye mera hai saatvan



[[verse 2]]

Par kuch kehte hai ke : had-se-jyada main nadaan hun

Kahan se aya hun - jo- duniya-daari se anjaan hun

Tum itne bhole ho Jeet : tumhe dekh-kar hairaan hun

Aur unki ye hee baatein sochkar : main pareshaan hun



Jab pehli baar zindagi mein ladki mujhe koi mili

Main khush itna hua ke meri khopdi hili

Maine khushi-khushi mein usko behan keh diya

Main doon mein hee reh gaya wo chali gai dilli



2 mahine baad phone kari : boli kya haal hai ?

Main bola : who are you mdm ? aap kon maal hain ?

Sorry matlab : apka naam ? kyun kiya ye call hai ?

Alisha here Jeet :: ye teri baby doll hai



Boli dil-ka-apna dard sara wo mujhse baant rahi thi

Door rehkar mujhse bus yun-hee bus time kaat rahi thi

Fir 37 minute baad mujhe uspar shak hua

Daaru peeke wo saali bus mujhe chaat rahi thi



Main hun ek bechain atma

Dard main chahun ye bant-na

Mujhe dekh-kar hee dar jaate wo

: koi bhi mere hai saath-na



[[verse 3]]

Par kuch mujhe dekh-kar meri bus diwani see ho jaati hai

Uske boyfriend ke sath kuch be-maani see ho jaati hai

Main kaise usko manao : mujhe kiss na karein

Uske baad to har ladki : Leone see ho jaati hai



Fir andar ke saare : armaan jag jaate hain

Sharam aur lihaaj dene daan bhag jaate hain

Shaitaan sw bhi jyada main shaitaan ho jata hun

Khatre mein fir uski :: jaan lag jaati hai



Kuch kuch karne ke liye : meri atma bechain hai

Ulti-seedhi shaitaani : to jaise iski behan hai

Utpaat machaane mein : koi mera mail nahi

Number isme hamesha aate : 10 out of 10 hai



Main hun ek bechain atma

Janam ye mera hai saatvan

Mujhe dekh-kar hee dar jaate wo

: koi bhi mere hai saath-na



Main hun ek bechain atma

Janam ye mera hai saatvan

Koi bhi apna nahi hai

: koi bhi mere hai saath-na .................



[[Chorus ]] x2

More by Mohit Gaur

All Mohit Gaur songs →