Cash Wali Zindagi

Cash wali zindagi , aish wali zindagi

Mujhe chahiye aisi taish wali zindagi ... x2
Bada bada bada bada bada sa ek ghar hoga

King size bed jispar makhmali bistar hoga

Bhapka mere naam ka bheed mein honge mere charche

Baat-baat ka meri - khabaron mein zikar hoga



Jiunga fir main - puri nawaabon wali zindagi

Gucci,Prada,Loui mere khwabon wali zindagi

Din raat hee liqour - kisi na baat ki fikar

Pocket meri full - aisi thaathon wali zindagi



Paisa mere pass ginti se bhi bahaar hoga

Naam ka mere pure sheher mein hahakaar hoga

Roke se kisi ke main rukunga nahi

Party karunga din raat jis din shaniwaar hoga



Gaadi top-class bank balane mera full hoga

Haath mein sharaab fir jannat sa har ek pal hoga

Jo karna hai aaj befikar hoke karna kyunki

Aaj sirf aish aur kaam sara kal hoga





Cash wali zindagi , aish wali zindagi

Mujhe chahiye aisi taish wali zindagi ... x4





Par Mere dad ko shak hai main aisa kar paunga nahi

Lekin koshish kare bina to main yahan se jaunga nahi

Paisa mere pass behisaab hona chahiye

Uske liye to kabhi ansu bahaunga nahi



Gaddi mere pass - koi 1000 se na ke niche hogi

Gaadi highway par - 100 ki raftaar se na niche hogi

Shun-shan karta hua main aage badhta jaunga

Sabse aage ekdum main - saari duniya mere piche hogi



Fir raat to chhodo meri to subah bhi haseen hogi

Haath mein glass aur bagal mein teen-teen hogi

Kadam mere ek jagah tikte nahi meri

Morning New-york and night in Chine hogi



Mera atma full hang hone ki kagar par

Dushman chit bus mere ek waar par

Akad meri bhaari ab meri hee chalegi aur

Naam mera bada-bada branded car par





Cash wali zindagi , aish wali zindagi

Mujhe chahiye aisi taish wali zindagi ... x2



Cash wali,cash wali

Aish wali,aish wali

Mujhe chahiye aisi taish wali zindagi





Cash wali,cash wali

Aish wali,aish wali

Mujhe chahiye aisi taish wali zindagi



Cash wali zindagi , aish wali zindagi

Mujhe chahiye aisi taish wali zindagi ... x2

More by Mohit Gaur

All Mohit Gaur songs →