Gulabi Akhein "Raprise"

Gulabi Ankhein jo teri dekhi

Sharabi ye dil ho gaya

Sambhalo mujhko o mere yaaron samhalna mushkil ho gaya
[[verse 1]]

Gulabi ankhein teri dekhi : main hosh kho baitha

Duniya daari bhul gya sara josh kho baitha

Baithe-baithe tere ab sapne dekhta hun

Jo kamayi thi ab tak saari dhauns kho baitha



Maine duniya saari dekhi tere jaisi na dekhi

Tu chahiye jeene ko meri dhadkane kehti

Bus ek tera pyaar - baaki duniya bekaar

Tujhe dekh-dekh dil mein hai bechaini see hoti



Kuch nahi bus ab mujhko tera saath chaiye

Zehar hai zindagi jiska kaat chaiye hai

Zinda rehne ke liye koi baat dhundta hun

Zinda mujhe jo rakhe : wo ek baat chahiye



Gulabi Ankhein jo teri dekhi

Sharabi ye dil ho gaya.....



[[verse 2]]

Ek tere naam ke baad duja naam na liya

Tujhe sochne ke siwa kuch kaam na kiya

Maine tere bus khayalon mein khoya rehta hun

Jab se dekhi teri ankhein koi jaam na piya



Berang zindagi : aakar rang bhar de

Khushiyan door mujhse hain : mere sang kar de

Main sab kuch sahunga tu bus saath rahna

Apne nakharon se aakar chahe tang kar de



Har baat ka teri main eitbaar karunga

Khyal aisa tera jaane-jaan din-raat karunga

Tu maan ja bus : ek baar meri hoja

Khud se bhi jyada tujhe main pyaar karunga



Gulabi Ankhein jo teri dekhi

Sharabi ye dil ho gaya.....

More by Mohit Gaur

All Mohit Gaur songs →