AUKAAT NAHI HAI - CHHETRI JEE X MOHIT GAUR - HINDI RAP SONG 2018

[[verse 1]]



Lo main han aa gaya saari baat bataane
Aisa waisa kuch nahi saare raaz uthane

Mujhse dekhi nhi jaati unki wo saari bak-bak

Haraamkhoron ko unki seedhi aukaat bataane



Ke tum eng wala pop nahi tum hindi wala paap ho

Main bhole ka vardaan hun tum krodh muni ke shaap ho

Main to jwala-mukhi sa fat-ta hun tum bus farzi see bhaap ho

Tum hero kahin bhi ban lena par mere aage flop ho



Main hun dhruv taare sa khaas aur tum bahot hee aam ho

Main kaamyaab aur tum bade nakaam ho

Taash ke patton sa beta tera mera difference

Han,Main hukum ka ikka aur tum jhoru ke ghulaam ho



To mere kaam mein dhakhal dena nahi aap ka business

Tum jaakar sambhaalo apne baap ka business

Oh tooh tumhe pasand nahi hai bargaining?

Tumhara saala sadak chhaap sa business!



[[Chorus]]

Mere Jaisa soch sake tu teri wo aukaat nahi hai

Mere aage tu jo tik jaye tujhmein wo han baat nahi hai

Mere Jaisi soch rakhe tu teri wo aukaat nahi hai

Mere aage tu na tikega tujhmein wo han baat nahi hai



[[verse 2]]

Aur Main fail raha hun rappers mein ek khauf ki tarah

Raaz saare khol-ta wikileaks blogs ki tarah

Mujhse bach pana beta tera nahi hai mumkin

Sab main jaan-ta hun Sherlock ki tarah



Hip-hop ke naam pe naam kamaya tumne hiphop nahi kiya

Hip-hop khud ko kaha tumne logon ko hip-hop nahi diya

Teerchi topiyan pehenkar bhi han tum bohot naache

Par ab sab jante hain tumne hiphop na jiya



Aur rap karne mein to hum baap hain tumhare

Saare fans mere tagde jitne saath hain tumhare

Shayad kabai na dhulenge agar tum na badle

Hip-hop ke naam par jitne paap hain tumhare



Aur mere kaam mein dhakhal dena nahi aap ka business

Tum jaakar sambhaalo apne baap ka business

Oh tooh pasand nahi hai bargaining?

Tumhara saala sadak chhaap sa business!





[[Chorus]]



[[dialogue]]



[[Chorus]]

More by Mohit Gaur

All Mohit Gaur songs →