CHEN-K
Kaam Haraam
[VERSE 1]
Jaanne waale kahen mera kaam haraam ka
Na chalo is raaste leke naam shaitaan ka
Mujhe na perwah karun kaam khule aam hah
Saari yeh khoobian taufa Khuda ka

Qabar sab ki apni, khabar sab ne rakhni
Gunehgaar kahen mjhe dimagh se beemar (Ahn)
Apni manzil kisi baat ka dar nahi
Fikar me sab kahen zindagi sudhaar

Arey main apni zindagi se khush dekho raazi
Roko na mujhe kabhi hojaegi badlihaazi (Ahn)
Ankhon me dekho zara kia koi mjhe dar
Gusse se bach mere apne raaste chal

[Hook 1]
Gusse se bach bach bach x2

[VERSE 2]
Bachpan ki galiyan tang theen
Paheli pe peheli kheli yeh zindagi
Aur log ek se ek dekhe bare rangeen
Per koi na gam Khuda pe yakeen

Takdeer meri akheer, ameer kabhi fakeer
Dekho hath mere khali, mehnat meri lakeer
Her qism ki main ne yeh zindagi rahi
Kismat meri nashe jesi nasheeli
Rang hazaar jese khula bazaar
Dushman behisaab mere main zimedaar (Ahn)
Saare naraz meri esi awaz
Gusse se mere bach! kabhi na karin galat baat

[Hook 2]
Gusse se bach bach bach x2