π€ Ab jab ye jaanay mere naam ko aur chaanay mere kaam ko π€
π€ Lagay in sab ko jese yahan pohunchna mazaaq ho π€
π€ Ab aate jaate miltay kehtay aap khushnaseeb ho π€
π€ Kabhi tatolo jaibain kabhi chaano is ghareeb ko π€
π€ Qallam ke taraazu aese hotay ni pakkay π€
π€ Rakho maazi ko tum maiz pe dunya ke khaalo dhakkay π€
π€ Betha Teen So Athaes meel dur apne ghar se, π€
π€ Khwaab daraate utha neend se me dar ke π€
π€ Ghar ki kheriyat leta dil ko sakoon nahi π€
π€ Aur tum sab ko lagta ye qismat hai wahh bhai π€
π€ Han bhai, Laga sab ko chamkaane me π€
π€ Betha me chiraagh talay chup, sirhaanay pe π€
πΌ Roshni se khof na par shor ka bhi shoq na πΌ
πΌ Tum sab madaari naacho dur me is melay se πΌ
πΌ Rappers ke jhund chalay rukh me hawaa ke par πΌ
πΌ ziddi parinda me urtaa akelay me πΌ
π€ Mun pe lagaa ke taalay paalun na toofaan me π€
π€ Wo bachtay hawaa se rakhun aafat zubaan pe π€
π€ Kar lo Tamaashay mujhpe kass lo awaazain π€
π€ par uthnay janaazay jab banda ye thaan lay π€
π€ Chal tu maan le ke Khabbarnaama Flop thi π€
π€ Keh de tu sab ko ke Sunny Hip-Hop nahi π€
π€ Rap pe ab naachna hai in sab nachoron ko π€
π€ Na Khush kyunke mere gaano me drop nahi π€
π€ Kaamyaab nahi kyunke mujh me faraib nai π€
π€ Batain wohi karun jo shurfaa ko deti zaib nai π€
π€samajh lo ke faateh hone ki koi tarkeeb nai π€
π€ Lakeeron ko cheera mujhe kehna khushnaseeb nahi.. π€
(HOOK)
πΉ Yeh loag bolen khushnaseeb tu (x4) πΉ
πΉ Kya hum loag mehnat nahi karte kya? (x2) πΉ
πΉ Hasad na kar hum se seekh bhi..πΉ
πΉ Ke mehnat ka aks bus... πΉ
"KHUSHNASEEBI"
(CHEN-K VERSE)
π€ Meethi si zabaan in logon ki.. Per π€
π€ Aankhon me hasad in kamzoron ki.. Dar π€
π€ Me zabaan se den yeh naseehaten.. Per π€
π€ Aankhen inki zor se cheekhen ke.. π€
π€ Ladka yeh kitna khushnaseeb sa π€
π€ ο·² ise kyun de maza her cheez ka? π€
π€ Badtameez sa iske baawajood bhi.. π€
π€ kyun iski maujoodgi se khush haseena.. π€
π€ Haseenaaen ispe kyun jaan den π€
π€ Paseena aae kya pareshan main?π€
π€ Dehaan her insaan ka ispe.. π€
π€ Haraam khada hona bhaee iske saath me! π€
π€ Nahi... Ise neecha dikhana hoga π€
π€ Doston me apnon me zaleel main karoonga π€
π€ Dhoondunga kamzoriyan, sukoon cheenloonga π€
π€ Ooncha jaane doonga nahi neeche kheechoonga. π€
π€ Laga tu poora zor, aghaaz kar π€
π€ Hifaazat kare meri dua janamaaz per π€
π€ Tu draamebaaz kutte ki tarah bhaunk peeth peeche π€
π€ Sher ki tarah main dhaarun jese jihaad per. π€
πΌ Taizaab mere thook me tu gal jaega πΌ
πΌ Qalam mera bhook me tu marjaega πΌ
π€ Bad dua ke bajaae mujhe de dua π€
π€ Jaa!! apni khushnaseebion ka dhoond kuan. π€
π€ Wo oonch neech wo.. wo gurbatt π€
π€ Jab bhi mile mujhe koi dukh dardd. π€
π€ Main tou shukar guzaar dua karun sabar de π€
π€ Yeh mushkilen khushnaseebi asal me. π€
π€ Theek se sun likhta nahi angrezi me π€
π€ Mushkilen badnaseebi ke bhes me π€
π€ Tez si churiyaan dil tak khupin π€
π€ Khushnaseebi ke bhes me mehnat chupi.. Tabhi.. π€
(HOOK)
πΉ Yeh loag bolen khushnaseeb tu (x4) πΉ
πΉ Kya hum loag mehnat nahi karte kya? (x2) πΉ
πΉ Hasad na kar hum se seekh bhi..πΉ
πΉ Ke mehnat ka aks bus... πΉ
"KHUSHNASEEBI