[Verse 1]
Kya hua? tune tou di thi zabaan nahi? Ke is baar karega tu pyaar nahi
Yeh phone pe kaun thi mujhse chupa nahi.. Kahan ki? Pakistan ki ya Hindustani?
Chal yeh jahan ki bhi jaani, mujhe koi mulk mazhab se masla nahi
Bus han tasaweer tu badle jismaani jo.. Ek tarah se kya yeh bhi zina nahi?
Nadir jawaab de haan ya nahi, Shair tu gand me is parhna nahi
Behis tujhe kya pata nahi? Hazir jawab tu kirdaar nibhara nahi
Kashmir sawaal puche jawab nahi, Ya jai Shree Ram Tabrez ka bhi suna nahi?
Tasweeron me tera bilkul dehaan nahi, Nadeem aur Meera ki galti tujhe yaad nahi?
Josh-e-Jawaani me kar gunah nahi, Tere maksad pe phirjaega paani
Yeh ghar gaari ladki khandaani, Tu in wakti cheezon ke liye bilkul bana nahi
Maze ki baat mujhe thori hairaani, Draamebaaz kia tujhe khud bhi yaad nahi?
Kese ghar badle jese bewafa deewani, Bachpan ki phir se sunega kahaani?
Tujhe yaad nahi?! Jab teri maa thi saath nahi.. Takya tera samandar ka paani
Tujhe yaad nahi?! Wo waali pareshani jab baap ka haspatal me tha daana paani
Bandon ko Rabb dukh awaen deta nahi, Bewafa wo thi tou kya tu bhi tha nahi?
Bandon ko Rabb dukh awaen deta nahi, Likhaari dikha logon ko duniya faani!
Chup! Bakwaas apni band kar, Lihaaz karun tera tu charhe mere sir per!
Khade raungte raaz bhare gaane mere unparh, Tou jaa sahi se sun, Alfaaz mere pathar!
Aur wo pathar nahi jo pare har qadam per, Wo pathar jo gehre pahaaron ke andar
Tabhi tou asar, Qabze har qalab per, Mujhe sunker logon ki aankhen samandar..
Tabhi tou jab mujhe gaaliyan de koi, Tou loag mere khade leke bandook yun jang per
Jese jihaad per, Jese berehem yeh qalam se nikle huroof dushman per
Main behtar, Main upar, Tu doosre number pe, Mann dar me tabhi kare mehsoos tu kamtar
Mai rehbar tabhi her sheher ke rappers yeh mere saamne lagen bewakoof khush bandar
Tu bhoolgaya kya ziada badtameez main, Nashe ke bagair dimaghi mareez main
Tu bina jaane mujhe kese bole jaali, Main karun yaari per kese tere sath iblees hai!
Nafees main! Industry ko mu pe dun gaali, Yeh ilm koi film nahi yeh dil se ki haasil
Jo tere mere maa baap sikhaa nahi paae, Bhae yeh kese sikhate yeh tou khud the jaahil
Haan kaahil hain, Rakhdo Quran inke saamne aur pucho inse kya tarjuma parha nahi aapne?
Aur jab mile inka jawaab ana me tou smjhlena sikha nahi sakte Islam yeh
Nikamme ghar gaari ke peeche ese, Jese Musalmaan aulaadon pe zinda yeh farz hai
Degree se pehle karenge Nikah nahi, kidhar gaya phone mera nafs bebas hai
[Chrous]
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Humshakal)
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Kar nakal)
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Main tujhme per tu mujhme nahi)
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Hoga tera qatal)
[Verse 2]
Qatal karke gamm mujhe bhi hai, Per teri kafan bhi zaruri hai
Besharam tu Quran her gaanon me, tujhe pata nahi haram mosiqi hai
Teri waja se de sakta nahi gaali main, teri waja se nazar mere tattoos aur baali pe
Per Nadir tu hoga nahi tou gaanon me gehrai nahi yeh baat tou zahir hai
Ya phir main bhi dalla na banjaun, Nora Fatehi, Warina ke hilwaun
Phir kehdun yahi kaamiyabi hai, Pyari si maa ki dp insta lagaun
Mini bp billee banaun, Women empowerment ka shor machaun
Phir wo budhee 40 saal ki Mehwish ko nange mardon ke beech me mujra karwaun
Nahi nahi, mujhe bechna zameer nahi, Dalaal banke hona mujhe ameer nahi
Haan wo "Ladki" jesa rap banaaleta hun per logon ko tapp us gaane se akheer bhae..
Jab ke waaki me wo kaali kaloti thi!! apne taangon ke baalon ko lekar roti thi!!
Aur jise smjh nhi arahi bhae, smjhle Sadaf ki tarah khusri koji thi!
Beech ki ungli dikhaun poori duniya ko, Ek do nahi mujhe ziada tou gaaliyan do
Naam ko likho zameen pe phir thooko aur kehdo ke CHEN mashoori ka bhooka wo
Paisa mashoori tou tawaif meri jo bethi ghutnon pe majbooran meri dehleez pe
Industry ko karun khule aam zaleel main, Per Momina Mustehsan ummmaahh Chikni cheez hai!
Jhoot! Daant uske ghoor, Teri Momina jab hasti hai, Lagti hai bhoot
Aur yeh kaali kallu bolna band kar warna Amna Ilyas karlegi mehsoos
Aur wo unki gaand hai wo jo marzi karen, Tujhe pata nahi aaj kal gaand dikhana dastoor?
Warna hongi nahi yeh bollywood tak mashoor, Inki maaen khush tou kaun hota hai tu?
Tu ghoor girbaan me, zara jhaank dehaan de, yeh zabaan se lekar tera bhi kaam haraam hai
Guroor me de taane, bhae unme shaoor nahi, tu bhool nahi jo jaane waale me chupe fasaane
Kamaane de unko, Yeh paison ka jaadu, Paisa kutti cheez hai, karde bekaabu
Saghe bhaiyon tak ko karde juda yun, haan bhaiyon tak ko karde yeh juda yun!
Thoo! Kamaae main ne laakhon me, Rooh phir door hojae namazon se
Dhoop me paidal dikhaun chalta sadkon me, Roop dajjali per main faqeeron me
Main deen tu duniya, Kaafirana huliya, Smjhle diwana tera per rappers tapen rozana
Kyun? Kyunki inko jo saalon se mila na, us se kahin ziada mile mujhe mahana
Tou haasid parh!! Tareekh ki kitaaben ja! Ek do nahi Urdu me than kahion ka thela
Dono mulkon se pyaar lajawab mila, ek ek gaana asbaab Nayab mera
Janab Urdu ke sath juda naam mera, iska mizaaji khuda main, GAWAH gaana pehla
Zahir hai Allah maalik aur khuda mera! Per.. URDU RAP GOD ka khitaab mera!
[Chrous]
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Humshakal)
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Kar nakal)
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Main tujhme per tu mujhme nahi)
Humshakal, Humshakal, Tu mera Humshakal (Hoga tera qatal)