CHEN-K
Kehne Do
Haider Omar:
Kon hoon mein kiski talaash hai Mujhe
Dunya ki saazishon sey bachnay dou mujhe
Iss khel sey pyaar hua Mujhe bachpan sey
Aaj mein khilari hoon raazi hoon, bolnay dou mujhe

Doosron ko Dekh kar hi jeeta tha mein
Lougon ki baaton ko taalta tha mein
Aik kamray mein bus lagga raha mein
Din raat aik kar kay chalta raha
Abb ye baatein puraani hain jaani pehchani hain
Muashray mein aagayi hain lihaaz ko dafna gayee hain
Jawaab na dey payi toh sunayi kahaani
Kuch na hou kar bhi yahi baatein bataneen

Kehnay dou
Rehnay dou
Mujh ko

Jaanay dou
Jeenay dou
Mujh ko

CHEN-K:
Sunna chordo agar pasand ni yeh kaam mera
Mere liye nafrat bharoge tou sirf nuqsaan tera
Koi kahe pehchaan yeh Nadir mehnat ka inaam tera
Koi kahe teri shakal ki waja se bus naam tera
Sapera main ird gird mere naachen saanp zehreele
Dost andar se dushman, lafz inke zeher se geele
Jinko apna yeh baap banaake chalen fakhar se apni zindagi mein
Wohi baap ka sab se bara darr main, puraane bhi Nadir ko neeche ghaseeten

Milke karen hamla buzdil per khada yeh jawan akela
Main nafrat mein kardun inhe pagal, lafz mere itne jaanlewa
Waqt se bhi aage main per nikamme kyun yeh maante na
Shakal ke sath aqal ki waja se bhi tou naam - mera..

Wadera ni main mehnat karke aya dekho dheere dheere
Baaki saare bechgae zameer inke emaan dheele
Band karou mujhe milana inse, yeh gandi naali ke keede!!!
Haramkhori agar jeet hai tou yeh jeetgae!!!

Kehnay dou
Rehnay dou
Mujh ko

Jaanay dou
Jeenay dou
Mujh ko