CHEN-K
Superstar
[Verse 1: Haider Omar]
Bachpan se Aik hi khwaab raha
Ke aik din banoon superstar
Dil ki rahat thi ye ke
Dunya ko talent dikhaoon ga
Par kuch rukawatein theen
Aur kuch theen ye majboorian
Ke jo mein chahta tha banna
Woh abb mein bann na sakka

[Chorus: Haider Omar]
Ye parchaiyan thi
Jo saath mein sadda thi
Inn khwahishon ki raah me
Yun tanha chala me

Ye parchaiyan thi
Jo saath mein sadda thi
Inn khwahishon ki raah me
Yun tanha chala me

[Verse 2: Sunny Khan Durrani]
Aankhein Hain aap deeda
Aap beeti aap likhta
Jaibon mein sikke aur note mein jalla deta
Sarkon ke shor mein jab sunno kahin gaana Mera
Jaan lena rooh meri hogayi hai rangreza
Bacha jo tees tees ki cassette khareedta
Woh aaj unn casette ke artist ka pasandeeda
Ruka na bayan sar pe dhamkiyan thi jaan ki
Hawa ke mukhalif hi apni uraan thi
Aag se khelna riwaaj mere sheher ka
Aur ghar mera banna hua tinkon ke dher ka
Dil mein nichor deta kaghaz ke dher pe
Mere khoon se nasslon ke door hon andhere
Mein wohi sitara jo roshan hamesha
Mein wohi kinara mein wohi andesha
Mein wohi sandesa mein wohi hoon rahber
Mein kuch ka maseeha mein baakion ka kaafir
[Chorus: Haider Omar]
Ye parchaiyan thi
Jo saath mein sadda thi
Inn khwahishon ki raah me
Yun tanha chala me

[Verse 3: CHEN-K]
Haathon ki lakeerein meri badlein roz ye
Mein khud apne aapko nahi jaanta Afsos ye
Jahan bhi chaloon mein andhera sa cha jaye
Meri mojoodgi se dukh inke jaag jayein
Toh
Toh abb khush mein akela
Mar gaya mein andhar se
Mar gaya dil mera
Tab hi awaaz mein meri kaala rang koi aesa
Mein utha doon rhongte
Mein rab ka rangreza
Woh dekho taar pe bethi choti si chirya
Woh dhoop dekho paar kare sheeshe ki khirkian
Kaise noor dikhaye dhool ka zarra zarra
Mein rab ka naam loon toh har koi chirchira
Tab hi mere rishte zyada deir tak tikte nahi
Khule dimagh loug mujhe sheher mein dekhte nahi
Qalam ki sayahi ko kaaghaz pe behne do mujhe dukh pasand hai
Mujhe parchayi mein rehne do
[Chorus: Haider Omar]
Ye parchaiyan thi
Jo saath mein sadda thi
Inn khwahishon ki raah me
Yun tanha chala me