Badshah
Hosh
Iss Nakli Si Duniya Mein
Zara Sa Bhi Ab Mera
Mann Na Lage Mann Na Lage
Pyar Itna Kar Yaar Mere
Mujhe Kam Na Lage Kam Na Lage

Gham Itna Pee Chuki Mujhe Ab Koyi
Gham Na Lage Gham Na Lage
Mujhme Aake Mil Ja Tu Aise
Hum Hum Na Lage Hum Na Lage

Hoon Bheed Mein Bhi Tanha Si Main
Hoon Main Akeli Si
Aake Mujhe Tu Suljha De
Main Ek Paheli Si

Koyi Jaadu Sa Mujhpe Chala De
Mujhe Taaron Ki Sair Kara De
Rehke Hosh Mein Kya Hi Karungi
Aaja Mere Hosh Uda De

Koyi Jaam Tu Aisa Peela De
Mere Khoon Mein Kuchh Tu Mila De
Rehke Hosh Mein Kya Hi Karungi
Aaja Mere Hosh Uda De
Mere Kaan Mein Aake Kehti Mujhe
Ek Talab Si Uthti Rehti Mujhe
Main Besabri Si Ho Gayi Hoon
Main Bekadri Si Ho Gayi Hoon

Meri Aankhon Mein Tu Kajal Bhar De
Barsungi Main Baadal Kar De
Sun’ne Mein Aaya Tu Paagal Hai
Mujhko Bhi Tu Paagal Kar De

Mere Aankhon Se Aansu Gira De
Mujhe Poori Ki Poori Hila De
Rehke Hosh Mein Kya Hi Karungi
Aaja Mere Hosh Uda De

Koyi Jaam Tu Aisa Peela De
Mere Khoon Mein Kuchh Tu Mila De
Rehke Hosh Mein Kya Hi Karungi
Aaja Mere Hosh Uda De

Is Marz Ki Dawayi Chahiye
Jo Ragon Mein Samayi Chahiye
Jahan Jo Likhun Bas Tera Naam Likhun
Aisi Likhne Wali Syaahi Chahiye

Khuda Hai Toh Khudai Chahiye
Ya Iss Jism Se Rihaai Chahiye
Tu Hai Toh Main Hoon Yakeenan
Nahi Toh Mujhe Iss Wajood Ki
Tabaahi Chahiye