[Verse 1]
Mann baichan ek jal rhi thi aag si
Shayad dil ko sata rhi teri yaad thi
Hai wo paas par fir bhi mere paas nhi
Har saans mein par diya kabhi dhyaan nhi
Kya aap samjhe sangeet ki ye baat thi
Jab na tha koi kalam kagaz hi saath thi
Mere vicharo ke the bane ye saathi
Inke bina zindagi meri jaise saza thi
Zimmedari nayi to shayad se door gya
Par na samjhe main tha unko kahi bhool gya
Mauka na mile main fir bhi dhoond laata hu
Chahe hun akela par khud ke liye hi gaata hu
Tu bhi jhaank teri bhi aisi cheez thi
Jiske liye rooh teri rehti thi cheekh ti
Par din ki race mein shayad bhool gya
Paisa matters more ban gya ye usool naya
Har din kama paisa thak kar so jaata hai
Par poocha hai mann se kya usko bhi chain aata
Reh kar door cheezo se jo deti ek sukoon thi
Chahe ho wo sardi ya fir ho wo garmi june ki
Par hua kya jo aisa hum badal gye
Kya ho kar bade hum thoda sa bhatak gye
Socha bohot par mil rha jaawab nhi
Chalo mil kar sochte hai main aur aap bhi
[Verse 2]
Haanji kya mila koi jawaab ji
Pooch khudse kya ho skti wajah thi
Roka khudko ya kismat ki khta thi
Ya socha tha sab baith ke ye ho jaayega aap hi
Ho skta hai samay na tere saath tha
Ho skta hai khuda tujhse naraaz tha
Ho skta hai khando par koi bhar tha
Yaa fir ho skta hai to kuch na karne ko tayaar tha
Kaaran bohot par zindagi ye aakhri
Aaj hai kal ban jaaye ye rakh hi
Himmat kar badal le kismat aap hi
Royega warna jab lega saans apni aakhri
Kehna aasan par karna thoda mushkil
Par rone se acha rahega wo khush dil
Hasegi na rooh na kahegi tujhe buzdil
Things will change atleast keep a strong will
Laga rahunga main apni aakhri saans tak
Koshish yahi pahunche aawaaz aap tak
Tu bhi karle sapne poore dekhe aaj tak
Koyla banega heera ye baat meri yaad rakh
Yaad rakh
Yaad rakh !!!