Spotify
Jaan Hai Tu (Nineteen)
Tune kabhi samjha nahi
Kitna hai mujhko tujhse pyaar
Kaise tujhe samjhaun sanam
Karta hoon tera ab bhi intezaar
(Hook)
Han!
Meri Jaan hai tu...
Han!
Meri Shaan hai tu...
Chahta tujhe kitna meri jaan
Hai sab jaanati tu... (×2)
(Verse 1)
Aaj Bhi mujhe yaad saare hai
Wo Pal
Jinhe soch mere dil mein abhi bhi
Hoti Hulchal
Tere liye hota tha mai khaas kabhi
Ab tere liye hoon mai bas ek beeta
Hua kal
Pal Do Pal ko laga mujhe sab hai mila
Na tha koi shikwa na koi bhi gila
Pr Chaar din ki chandani fir
Hui andheri raat
Dil mein chubha fir judai ka
Kaata nukeela...
Tanaha Hai Dil, Tanaha Safar
Baaton mein har pal bas tera zikr
Mujhko tu chhod chali gayi hai keedhar
Zindagi meri ab gayi hai bikhar
(Hook)
Han!
Meri Jaan hai tu...
Han!
Meri Shaan hai tu...
Chahta tujhe kitna meri jaan
Hai sab jaanati tu...
*Interlude*
(Verse 2)
Adhura safar hai Adhuri si raat
Tujhe kaise mai bataun
Kya merе haalaat
Tujhe kaise samjhaun
Kya merе jazbaat
Hai sar par baadal
Par hoti aankhon se barsaat
Tere sath jo beetaye saare pal Mujhe yaad
Tujhe di priority Baaki sab tere baad
Maine jo bhi waada kiya tha
Usko hai maine nibhaaya
Par tune meri jaan Sab kar diya barbaad..
(Hook)
Han!
Meri Jaan hai tu...
Han!
Meri Shaan hai tu...
Chahta tujhe kitna meri jaan
Hai sab jaanati tu... (×2)
(Shayari)
Jo waada kiya tha tumne mujhse
Uss waade ko tumne nibhaaya nhi
Yun waadon se muqarna fitrat hai tumhari
Ye tumne mujhe bataya nhi...
(END)