Rahat Fateh Ali Khan
Tu Meri Main Tera
Main yahaan, main wahaan
Chaahe jaaun jahaan
Poochhta hai yeh dil
Tu kahaan, tu kahaan

Main saara jag chhod ke
Nikla hoon ek tere hi vaaste
Dooriyan hain bichhin raaste raaste

Kitni bhi doori ho
Koi majboori ho
Maine yeh thaana hai
Tujhko hi paana hai

Aa raha hoon main banke deewana
Maan hi lega ek din zamaana

Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…

Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Meri tanhaiyan kar rahi hai bayaan
Unn dino ki haseen dastaan
Jab ki hum saath thhe
Haath mein haath thhe
Lamha lamha haseen tha samaa

Yaadein barse na kyun
Aankhein tarse na kyun
Dhoondhti hai ye tera thikana
Tu mile toh hai bas ye bataana

Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…

Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…

Yeh safar hai kathin
Mushqilein raat din
Saaye ki tarah hai saath mere

Paaon zakhmi sahi
Dil ko hai zidd yahi
Jaana hi hai isey paas tere
Raah ka soonapan
Aur tann ki thakan
Kitne teeron ka main hoon nishana
Phir bhi jaana toh maine yeh jaana

Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…

Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…
Tu meri main tera…