Rahat Fateh Ali Khan
Tum Kon Piya
Beech bhawar mein daale na
Aar rahi na paar gayi
Kuch ishq ki mauje le doobi
Kuch hijr ki andhi mar gayi
Tum jaane nahi ye dard mera
Ya jaan ke bhi anjaane ho
Tum jaane nahi ye dard mera
Ya jaan ke bhi anjaane ho
Ik pal yeh lage apne ho tum
Ik pal yeh lage begane ho
Dil na ya paheli bujh saka
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Ye bhed tumhi ab kholo zara
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Tum kaun piya
• • •
Bin bole joh tum kehte ho
Bin bole hi woh sunlun main
Bharke tumko in ankhon mein
Kuch khwaab naye se bunn lun main
Bin bole joh tum kehte ho
Bin bole hi woh sunlun main
Bharke tumko in ankhon mein
Kuch khwaab naye se bunn lun main
Na apna ap dikhaayi de
Jab dekhoon khudko darpan me
Yeh main hun ya phir tum hi ho
Mann uljha hai is uljhan mein
Mujhe apne rang me rang liya
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Yeh bhed tumhi ab kholo zara
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Dil se jude hai ye dil apne
Kehne ko koi rishta hi nahi
Iss paakeeza se bandhan ko
Duniya me koi samjha hi nahi
Dil se jude hai ye dil apne
Kehne ko koi rishta hi nahi
Iss paakeeza se bandhan ko
Duniya me koi samjha hi nahi
Jab ghav lage koi tumko
Toh dard yahan bhi hota hai
Jab namm ho tumhari yeh ankhein
Toh dil ye mera bhi rota hai
Tumne bhi magar ye puch liya
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Yeh bhed tum hi ab kholo zara
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Tum kaun piya
Tum kaun piya