Meri Soch

from Dawn (2018)
[Verse 1]

Shabdo ki dhaar jaise bandook ka vaar jaise

Kar dega challi tujhko faad aar paar tujhe
Soch ki meri kiran jab padhegi tujhpe

Hatega andhera hoga sach ka gyaan tujhe

Mera ek ek shabad jaise koi pravachan

Sun le jo ek baar safal ho uska jeewan

Jhooth ko sunne waalo dimag ke kholo taalo

Pehle meri waali soch se soch mila lo



Seekha liya bohot kuch, aaj main sikhaunga

Roke kaun mujhe main chalta jaunga

Abhi to chota hun main par sika khota nhi

Hounga top pe ek din socha yhi

Pasand nhi aaya to de dena tum mujhko gaali

Acha lage to dil se hi bja dena taali

Ye to shuruwat hai bus manzil hai door kaafi

Ho jaaye galti agar de dena tum mujhko maafi



[Hook]

Ye realshit na main fake kuch suna rha

Vichaar mere mann ke jo sangeet mein bta rha

Ye real shit na main fake kuch suna rua

Jo seekha zindagi se wo sangeet mein bta rha

Ye Real Shit !





[Verse 2]

Socho na baad ka tum jio bus aaj mein tum

Jo hua nhi ab tak uske liye pareshan kyu tum

Hasso na auro pe tum karo madad sabki

Ye waqt kamina hai lega ek ek kar sabki

Aaj jo hasta hai kal wo royega

Ek din rone waala bhi khush hoyega

Mehnat tu karta jaa fal tu bhi paayega

Rakh vishwas uss par wo rasta dikhayega



Zindagi ka ye safar nhi itna aasaan

Milte yaha ache bure har tarah ke insaan

Kuch bante dost ache, kuch hote naam ke

Janoge sach tum jab musibat ho saamne

Pehn naqaab chere par apna kehlaayenge

Ek din ban dimak tujhko hi khaa jaayenge

Zindagi ka hai ye sach aaj tu jaanle

Hoga bhala tera hi baat meri maanle





[Hook]

Ye realshit na main fake kuch suna rha

Vichaar mere mann ke jo sangeet mein bta rha

Ye real shit na main fake kuch suna rha

Jo seekha zindagi se wo sangeet mein bta rha

Ye Real Shit !

More from Dawn (2018)

More by XR

All XR songs →