#OneTake - Indian Rap Scene

De gaali dujo ko ye reach badha re

Views to aa re but respect gawa re

Chilla raha chhote par bars kaha re
Flow to tu kar rha par rhymes naa are re



Main bhi socha ki kuch aisa hi karlu

Par apna na aisa koi culture raha

Ye murdo par palte ye vulture yahan

Hai picture jo aa ri to hulchul yahan



Chalo ye to acha ki public ne jaana

Jo naa tha sunta ab wo bhi dewaana hai

Sach hi kaha tha big boss ka zamana hai

Dekha ladta to public ne pehchaana hai



Thik hai ab jo hua hone do ko baaton ko

Din naya aaya bhul jaao raaton ko

Unity jo goom thi jod lo inn haathon ko

Scene bohot bada smjha do inn saaro ko

More by XR

All XR songs →