Bhaago

from Khwaab (2020)
Sab bhaago bhaago

Sab bhaago bhaago bhaago us se door (x2)
Zindagi bhar seekha dukh nahi sukh chahye hamain

Door kardo un logon ko jo dete hain gham tumhe



Chahay woh doobain hon daldal mein

Ya unki zindagi mein saharay ki zarurat ho

Chahay woh doobay hon ghaflat mein

Ya unki zindagi mein koi na ho



Sab bhaago bhaago

Sab bhaago bhaago, bhaago us se door

Dunya ka hai dastoor

Sab bhaago us se door jo hai mayoos

Sab bhaago bhaago

Sab bhaago bhaago, bhaago us se door



Aur woh bhool jatay hain rasta

Na koi hota hai madad ke liye khara

Isi shehar ki kisi sarak pe

Woh apne gham ki zanjeer ko ghaseet ta ja raha

Yeh muskurana bhi ek sabak hai phir bhi tu, nadaan hai khara



Chahay woh doobain hon daldal mein

Ya unki zindagi mein saharay ki zarurat ho

Chahay woh doobay hon ghaflat mein

Ya unki zindagi mein koi na ho



Sab bhaago bhaago

Sab bhaago bhaago, bhaago us se door

Dunya ka hai dastoor

Sab bhaago us se door jo hai mayoos (x2)

More from Khwaab (2020)