Parwana Hun

from Khwaab (2020)
Nakshon ki lakeerain jaal ban gayeen

Fizaon mein sachai hawa se tham gayee

Shama ki Roshni kitnon ko nibhaye gi
Kuch ko dikhaye gi, kuch ko jalaye gi



Parwana hun us noor ka

Is jaal ke aagay hai ilm ka darwaza

Parwana hun us noor ka

Is jaal ke aagay



Hoo, Hoo



Aankhain num hui hain manzil ki talaash mein

Paaon talay zanjeerain barhne na den mujhe

Shama ki roshni kitnon ko nibhaye gi

Kuch ko dikhaye gi, kuch ko jalaye gi



Parwana hun us noor ka

Is jaal ke aagay hai ilm ka darwaza

Parwana hun us noor ka

Is jaal ke aagay



Hoo, Hoo



Sach ki talaash mein sabhi

Phir bhi hain bekhabar abhi

Tareeki se ghiri hui

Kab tak rahay gi zindagi

Sach ki talaash mein sabhi

Phir bhi hain bekhabar abhi

Tareeki se ghiri hui

Kab tak rahay gi zindagi

More from Khwaab (2020)